Well come to our blog. We are a group of enthusiastic homeopaths and eager to spread homeopathy at every door step (Ghar Ghar Homeopathy). We are working on Mind Rubrics, And our mission is to understand it and make it easy and practical way, which can be helpful to every new as well as experienced homeopaths.
MIND-FEAR-STRUCK-APPROACHING HIM;OF BEING STRUCK BY THOSE
struck is past participle of strike strike =hamla karna struck=hamla kiya jana approach=come near to(paas jana,kisi vastu/vishay/Vykti ki taraf jana. kisi se pehli baar kisi visay par baat karna yeh rubric ka inference ye he, ki patient ko us har vyakti se hamla kiye jane ka darr lagta he jo uske kareeb aata he... matlab ki koi bhi vyakti uske paas aaye ya uski taraf aaye,to usko aisa darr lagta he ki wo muj par hamla karega,mujko maarega,mujko injure karega..
FERSAKEN FEELING/DELUSION FORSAKEN -SHE IS/DELUSION NEGLECTED BEING
Forsaken feeling
As a lexical meaning says,to give up which was formerly held dear. In hindi “Tyaag kiya hua”… Yaha person ko ye feel hota he ki logo ne uska tyaag kar diya he..ye real me hi hota he and person ka delusion bhi hota he.. Forsaken rubric tab liya jata he jab patient ka koi dhyan hi nahi rakhta..uski koi baat hi nahi suntan,usko kya ho raha he,kya taklif he uski logo ko koi parvaah nahi hoti..jese ki logo ke liye wo marr chukka he… Agar patient ki history se pata chalta he ki really me isko forsake kiya jar aha he tab ham FORSAKEN-FEELING lenge.. And agar usko sirf aisa lagta he ki log usko forsake karte he,but proper history ke baad ham decide karenge ki log forsake nae kar rahe he lekin isko aisa lagta he to ham rubric lenge DELUSION-FORSAKEN SHE IS Delusion neglected,being
Neglect =”upeksha karna” Yaha patient ko aisa lagta he ki uski upeksha ki jati he,logo ne bilkul usko chhod nahi diya he,lekin care bhi nahi kar rahe he…uski baat ko sunte to he,lekin koi importance nahi dete… e.g. wife apne husband ko bolti he ki muje back pain ho raha he,husband sun bhi leta he lekin koi care nae karta,usko doc ke paas le nahi jata,tab usko aisa lagta he ki me unko apni taklif batati hu to bhi kuchh dhyaan hi nahi dete..jab ki forsaken tab hoga ki husband uski baat hi nahi sunega

Talk,talking-irrational
Bina logic ki baat karna,jiska koi base na ho,kuchh ajeeb se baat jo hamko hazam nahi hoti.jiska koi evidence nahi hota,ya koi dalil nahi hoti.
e.g. Aconite patient aisi baat karta he ki wo 10 pm ko marne wala he.uski death ka waqt aa gaya he…ab ye baat ka koi logic nahi he.na hi uski health ko dekh kar aisa lagta he ki uski health itni gir chuki he ki wo mar jaayega.
Anacardium
Differentiate between VIVACIOUS, LIVELY, HAPPY, CHEERFUL, GAY, EXHILARATION, HIGH SPIRITED, JOY, EXUBERANCE, GAIETY ,MERRY..
VIVACIOUS:- ye aese mast mola log hote he jo hamesha zindgi ko maze se jeete he. Pareshani ko apne upar haavi nahi hone dete. Inhe dekhkar kabhi aesa lagta hi nahi ki inhone kabhi dukah bhi dekha hoga ( chahe dukh raha ho) ye aese log
DELUSION bed sold his bed someone has.
Bed means comfort zone jaha aaram kiya jata hai..
Sold means sale ya bech dena ya bik jana....
Yaha pts ko aisa lagta hai jo cheej pahle uski thi jo ab uski nahi rahi bik chuki hai....
Subscribe to:
Posts (Atom)