FERSAKEN FEELING/DELUSION FORSAKEN -SHE IS/DELUSION NEGLECTED BEING

Forsaken feeling
As a lexical meaning says,to give up which was formerly held dear. In hindi “Tyaag kiya hua”… Yaha person ko ye feel hota he ki logo ne uska tyaag kar diya he..ye real me hi hota he and person ka delusion bhi hota he.. Forsaken rubric tab liya jata he jab patient ka koi dhyan hi nahi rakhta..uski koi baat hi nahi suntan,usko kya ho raha he,kya taklif he uski logo ko koi parvaah nahi hoti..jese ki logo ke liye wo marr chukka he… Agar patient ki history se pata chalta he ki really me isko forsake kiya jar aha he tab ham FORSAKEN-FEELING lenge.. And agar usko sirf aisa lagta he ki log usko forsake karte he,but proper history ke baad ham decide karenge ki log forsake nae kar rahe he lekin isko aisa lagta he to ham rubric lenge DELUSION-FORSAKEN SHE IS Delusion neglected,being
Neglect =”upeksha karna” Yaha patient ko aisa lagta he ki uski upeksha ki jati he,logo ne bilkul usko chhod nahi diya he,lekin care bhi nahi kar rahe he…uski baat ko sunte to he,lekin koi importance nahi dete… e.g. wife apne husband ko bolti he ki muje back pain ho raha he,husband sun bhi leta he lekin koi care nae karta,usko doc ke paas le nahi jata,tab usko aisa lagta he ki me unko apni taklif batati hu to bhi kuchh dhyaan hi nahi dete..jab ki forsaken tab hoga ki husband uski baat hi nahi sunega

No comments:

Post a Comment