Talk,talking-irrational

Bina logic ki baat karna,jiska koi base na ho,kuchh ajeeb se baat jo hamko hazam nahi hoti.jiska koi evidence nahi hota,ya koi dalil nahi hoti. e.g. Aconite patient aisi baat karta he ki wo 10 pm ko marne wala he.uski death ka waqt aa gaya he…ab ye baat ka koi logic nahi he.na hi uski health ko dekh kar aisa lagta he ki uski health itni gir chuki he ki wo mar jaayega. Anacardium
violent language use karta he…kabhi matter serious hogi to hasta he…and laughable matter hogi to wo rota he..ab iska ye attitude koi logic se relation nahi rakhta… Kabhi koi un incidence ko soch kar gusse ma baat karta he jo abhi tak hua hi nahi… Finally,ye rubric tab lena he jab patient aisi baat karta he jiska koi wujud na ho,jiska koi logic na ho,jisko sunne se hasi aati he.bilkul foolish talks… Aaj se 12 years pehle ek patient mere paas aaya tha,oedema of legs le kar,un dino me naya tha.. Usne thode din medicines liya tha,but koi faayda na hua tha..wo muje bola,”sir,iski me apni dava karunga na..to dusre hi din thk ho jayega…wo alcoholic patient tha…uska kehne ka matlab ye tha ki alcohol lena start karega to uska problem solve ho jayega..ye uski superstitious belief nahi thi..lekin bas wo baate hi aisi karta tha..

No comments:

Post a Comment