PREJUDICED:
TRADITIONAL: In hindi “Paramparagat” ..barso se chali ayi theory ya practice. Ab isse related rubric he ,TRADITIONAL PREJUDICES Is rubric ka meaning he ki rogi apne ilaaj ke liye paramparagat ,baap dada ki taraf se chale aaye nuskhe,jinko gharelu ilaaj kaha jata he,unko aajmata he.apnata he. Jese ki sardi ho gae to koi kava bana kar pita rahega,ya kuchh khaas chijo ki smell leta rahega… Versions: “dr.sahab,do din se sardi ho gayi he..vese me sardi hote hi tulsi ka kava din me do chaar baar pita hu,adrakh khata hu.” “pai me ringworm ho gaya he,roj us par subah uthte hi thuk lagata hu” “bukhar aa gaya he,neem ka juice pita hu”