Well come to our blog. We are a group of enthusiastic homeopaths and eager to spread homeopathy at every door step (Ghar Ghar Homeopathy). We are working on Mind Rubrics, And our mission is to understand it and make it easy and practical way, which can be helpful to every new as well as experienced homeopaths.
RD- INSULT/ EMBARRASSMENT / HUMILIATION / INDIGNATION
INSULT:
APMAAN,Beijjati ..jab koi kuchh aisa negative kehta ya karta he jisse hamko nicha dekhna pade..usko insult hua kehte he…
E.G.Jab ham kisi marij ko dava de aur wo inkaar kar de ki tumhari dava nae leni he,tab jo hame feel aati he wo INSULT
EMBARRASSEMENT
Jab aap logo ke bich me jaane me uncomfortable feel karo kisi chhoti si baat ke liye bhi,e.g. aap raaste me he,aur aap ke shirt par kisi chij ka daag/spot lag gaya jiski wajah se kharab dikhta he,tab jo sharmindagi mehsus hoti he wo Embarrased kaha jata he.
HUMILIATION
Ye bhi ek apman ki hi awastha he jisme bahut hi jyada sharmindagi hoti he..ye embarrassment se bhi aage ka stage he..jese ki..kisi ne crime kiya he,aur police usko uske neighbours and relative ke samne arrest karti he,tab usko jo feel aati he,usko humiliation kehte he..
Ham respected homoeopaths he,ham ko bich bazaar agar koi thappad maar de tab jo feel hota he wo HUMILIATION
INDIGNATION
Is me insult ki wajah se gussa aa jata he..Dignity hurt hoti he..hamare status par hamla hua aisa feel hota he. e.g. Hamari clinic me aa kar koi patient dusre patients ke saamne ye bolta he ki “aapki dava bekaar he,aako kuchh bhi knowledge nahi he” tab jo feel aati he ,and gussa bhi he,to wo INDIGNATION
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment